Shaban Ka Wazifa in Urdu – Shaban Ki Ibadat

admin

Updated on:

Shaban Ka Wazifa in Urdu – Shaban ka mahina bohat fazilat ka hamil hai. Iss liye aaj ham apko shaban ka wazifa bateyn ge. Iss ke ilawa ham apko mah e Shaban ki ibadat ke bare main bhi bateyn ge.

Shaban Ka Wazifa in Urdu
Shaban Ka Wazifa in Urdu

Kitabon main Shaban ki fazilat bohat zyada ai hai. Shaban ke mahine ki fazilat iss liye bhi bohat zyada hai kiun ke is main 15 shaban ki raat ati hai. Ye Raat bohat barkat wali raat hai.

Shaban Ke Mahine Ki Fazilat

Shaban ke mahine ki fazilat bohat zyada hai. Iss ke ilawa is mahine main Darood Pak parhne ki fazilat bhi bohat zyada hai. Shaban Ka Wazifa iss raat mein karna bohat afzal hai.

Hazrat Imam Jaffar Sadiq RA farmate hain. Ke jo koi Shaban ke mahine main rozana 700 baar Darood Pak parhe ga. To Allah Kareem kuch farishte muqarar farma de ga. Jo iss Darood Pak ko Rasool e Kareem (PUBH) tak pohanchain ge.

Related: Shab E Miraj Ki Fazilat 27 Rajab Ki Ibadat in Urdu

Phir Allah ta’la hukam de ga iss darood parhne wale ke liye qayamat tak dua e maghfirat karte raho.

Aap bhi rozana koshish karain ke 700 martabah Darood zaroor parhain. Kiun ke Shaban ke mahine ki fazilat bohat zyada hai.

Shaban Ke Roze Ki Fazilat

Shaban ke roze ki fazilat bhi bohat zyada hai. Nabi Kareem PUBH jaise Ramdan ke rozon ki tiyari farmate thy. Isi tarha shaban ke roze ki tiyari bhi karte thy.

Hazrat Ans RA se riwayat hai ke. Nabi Kareem PUBH se sabse afzal rozon ke bare main pucha gya to. Nabi Kareem SAW ne Irshad farmaya ke ramzan ki tazeem ke liye Shaban ke roze hain.

Hazrat Aisha RA se bhi riwayat hai ke Nabi Kareem SAW ko Shaban ke roze rakhna bohat pasand tha.

Shaban Ki Ibadat

Mah e Shaban ki pehli shab yani jab shaban ka chand nazar ajye to aap ye amal lazmi karain.

Shaban Ki Ibadat Ka Tarika

Shaban ki ibadat ka tarika kuch iss tarha hai. 1st shaban ko jab chand nazar ajye. Aap ne Nimaz e Isha ke bad 12 Rak’at 6 salam se parhina hain.

Har raka’t main Surat Fatiha parhne ke baad 15, 15 martabah Surat Ikhlas parhni hai. Aur salam pherne ke baad apne 70 martbah Darood Pak parhna hai koi sa bhi.

Related: Subhan Allah Wabi Hamdi Hi Subhanallahil Azeem Parhne Ki Fazilat

Ye amal karne ke baad aap ne ALLAH ki bargah main dua karni hai. Aap jis maqsad ke liye bhi dua karain gy. Inhsa Allah aap ki har dua qabool hogi aur har jaiz hajat bhi puri hogi.

Shaban Ka Wazifa in Urdu

Leave a Comment