Qarz Se Nijat Ka Wazifa – Qarz Ki Dua. Aaj ham jo amal le kar aye hain ye un logo kw liyw bohat he faida mand hai jo qarz ke bojh se pareshan hai.
Aksar log hamen qarz se nijat ka wazifa puchte hain. Bohat se logon ko ham ne qarz ki dua ke bare main bataya hai. Jinhon ne ye amal kia Allah ne un ka qarz utaar diya. Aap bhi ye amal zaroor karen aur iss ka asar dekhen.
Hazrat Ali R.A Ka Waqia
Aik bar aik shakhs Hazrat Ali R.A ke pas aya. Aur kehne laga Ya Ali mere uper boaht qarz haimain kia karon. Aap R.A ne us se kaha ke main tumhen wo qarz ki dua na bataon jis agar tmhare uper Ohad Pahaar ke brabar bhi qarz hoga to utar jaye ga. Jo mujy Nabi Kareem SAW ne khud batai.
READ ALSO: Darood Tanjeena Ka Wazifa for Marriage
Us shakh ne kaha Ya Ali R.A aap mujy wo qarz ki dua zaroor batain taake mera qarz khatam ho sake. Phir Hazrat Ali R.A ne us shakhs ko qarz ki dua btai. Wo du ye thi.
Qarz ki Dua
Allahummak Fini Bihalalika an Haramika Waghnini Bifadhlika Amman Siwaka
Qarz Se Nijat Ka Wazifa Ka Tariqa
Wazifa karne ka tariqa bohat he asan hai. Lekin wazifa karne se pehle aap ne kuch baton ka dhiyan rakhna hai. Jab aap wazifa karen to aap ka libas aue jaga paak honi chahye. Iss ilawa jab aap amal karen to wazifa par aap ka aitimad hona bohat zaroori hai. Jab tak aap wazifa par yaqeen nahi rakhen ge aap ko is ka koi asar nahi hoga.
READ ALSO: Wazifa for Job – Job Ke Liye Wazifa
Wazifa karte waqt aap ka sara dhiyan amal ki tarf hona zaroori hai. Aap aisi jagah baith kar amal karen jahan aap ko koi disturb na kare.
Ye Wazifa Karne Ka Tariqa ye hai ke aap ne rozana Namaz e Maghrib ke 1 Tasbih yani 100 martba qarz ki dua parhni hai. Yani Allahummak Fini Bihalalika an Haramika Waghnini Bifadhlika Amman Siwaka 100 martba parhna hai. Awal o Akhir 3, 3 martba koi sa bhi darood lazmi parhen.
Wazifa Ki Muddat
Aap ne ye amal tab tak jari rakhna hai jab tak aap ka maqsad pura nahi ho jata. Iss ke ilawa aik he maqsad ke liye bohat sare wazaif hargiz na karen. Iss tarha aap ko kisi bhi wazifa ka koi faida nahi hoga.
I’m really inspired with your writing abilities as well as with the format in your
blog. Is that this a paid topic or did you customize it yourself?
Anyway keep up the nice high quality writing, it is uncommon to peer
a great blog like this one nowadays..