Doodh Peene Ke Fayde – Raat Ko Doodh Peene Ke Fayde Aur Nuksan. Doodh aik aisi ghiza hai jis ka zikr Quran o Hadees main milta hai.
Aaj ham aap ko bateyn ge ke doodh ke bare main hamare Nabi SAW ne kia farmaya. Aur is ke ilawa Tibbi lihaz se doodh peene ke kia fayfe hai.
Doodh Peene Ke Fayde
Dosto Allah Ta’la ne Quran main irshad farmaya.
Aur tumhare liye janwaron main bhi aik sabaq hai. In ky pait main gobar aur khoon ky darmiyan sy tumhain aik cheez pilate hain yani khalis doodh ( Surah Inaam )
Issi tarha Abu Naeem ne Hazrat Ibne Abbas se rivayat kia hai ke Hazoor Nabi Kareem SAW ko khane main doodh bohat pasand tha. Kiun ke ye quwate bah paida karta hai. Mada main jald hazam ho jata hai. Badan ki khushki ko door karta hai . Chehre ki rangat ko sufed karta hai. Dimagh ko qavi karta hai.
READ ALSO: Darood Tanjeena Ka Wazifa for Marriage
Nabi Kareem SAW ki garmi ki munasabt se ye adat thi ke aap doodh ko thanda kar ke ya dooh main thanda pani mila ke peete the. Hadees main ye warid hai ke Nabi Kareem SAW pani 3 saanson main peete the isi liye dood bhi 3 saanso main hi peena chahye.
Doodh Peene Ki Dua
Nabi Kareem jab bhi koi cheez tanawal farmate to ye dua parhte.
Allahumma Barik Lana Fihi Wa Atimna Khairam Minhu
Aur Jab Nabi kareem doodh tanawal farmate to ye dua parhte
Allahumma Barik Lana Fihi Wa Khaira Minhu
Aap bhi jab doodh peeeyn to Nabi Kareem SAW ki sunnat samjh kar dua bhi parh liya karen. Hazrat Abdullah Bin Abbas riwayat karte hain ke Hazoor SAW ne doodh ke bat pani mangwaya aur us pani se Aap SAW ne qulli ki. Iss se pata chala ke Hazoor SAW ne doodh peene ke bad qulli bhi farmai.
READ ALSO: Wazifa for Job – Job Ke Liye Wazifa
Raat Ko Doodh Peene Ke Fayde
Raat ko doodh peena pur sukoon neend ka sbab hai. Kiun ke aaj kal burdhe logo ke sath sath nojawanon ko bhi ye shikayat hai ke unhe need nahi ati hai. Jis ki wjah se din bhar jisam thakan aur susti ka shikar rehta hai.
Mahreen ka kehna hai ke doodh main aise amino acids paye jate hain jo raat ko pur sakoon neend ka sabab bante hain.
Raat ko aik glass neem garam doodh peene se neend pur sukoon rehti hai. Aur subhu uth kar mood khush gawar rehta hai.
I’ve learn several good stuff here.
Certainly value bookmarking for
revisiting. I wonder how much effort you set to create the sort
of magnificent informative site.
Hi, look what a cool site I found, there you can win from $ 50 to $ 3000 , I managed to win $ 540, good luck to you https://bit.ly/34jKEhC
Hi, i think that i saw you visited my site thus i came
to go back the choose?.I am trying to find issues to enhance my site!I assume its good enough to make
use of some of your concepts!!