Baitul Khala Jane Ki Dua in Hindi English Arabic

admin

Baitul Khala Jane Ki Dua

Baitul Khala mein Jane se pehle Baitul Khala Jane Ki Dua zaroor parhen kiun ke iss Dua ke bohat zayda fazail hain. Is post mein ham aap ko Baitul Khala Jane Ki Dua English, Arabic, and Hindi mein bateyn ge.

Baitul Khala Jane Ki Dua
Baitul Khala Jane Ki Dua

Yeh Dua bohat chhoti si Dua hai jis ko aap bohat asani se yaad kar sakte hain aur koshish karen ke aap apne bacchon ko bhi Baitul Khala Jane Ki Dua yaad karwain.

Baitul Khala Jane Ki Dua in Arabic

اَللّٰہُمَّ اِنِّیْ اَعُوْذُبِکَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَآئِثِ۔

Baitul Khala Jane Ki Dua in English

O Allah (Almighty) I seek your refuge from impure Jinnat (male and female)

Baitul Khala Jane Ki Dua in Hindi

” (बिस्मिल्लाही) अल्लाहुम्मा इन्नी अऊजु़ बिका मिनल खुबसि वल खबाइस। “

Baitul Khala Jane Ki Dua in Roman English

(Bismillaahee) allaahumma innee aoozu bika minal khubasi val khabais.

Benefits of Reading Dua Before Entering Toilet

Dua Arabic zuban ka lafz hai jiska matlab hai pukarna. Islam mein Dua ki bohat zayda ehmiyat hai. Nabi Kareem SAW ki aik hadees ke mutabik Dua ibadat ka johar hai.

Jab koi insan suche dil ke sath Allah se dua karta hai to is yaqeen aur bhi mazboot ho jata hai. baitul khala jane ki dua bhi bohat mand hai iske bohat zayda fazail hain.

Dua sab se zyada taqatwar ibadaton mein se aik ibadat hai. Muslims din aur raat mein kai baar bar Allah se Dua karte hain. Quran mein bhi Allah farmata hai ke mujhe pukaro mein tumhari pukar ko sunnta hon.

Kiun ke wo hi wahad hai jo hamrai duain sun sakta hai aur hamari dua ka jawab deta hai. Dua karna na sirf Allah ke sath qurbat ke ehsas ko barhata hai balke imaan ko bhi barhata hai.

Islam mein har amal ke liye aik Dua zaroor hai. Hazoor Nabi Kareem SAW ne appni ummat ko mukhtalif amoor jaise hifazat, Khandan, Safar, Bimari, Libas etc ke liye duain sikhai hain. Lehaza baitul khala jane ki dua bhi in duaon mein shamil hai.

Musalman hone ki wajah se hamen baitul khala jane ki dua ko yaad karna chahiye aur apne bachon ko bhi ye dua yaad karwani chahiye.

Ye dua na sirf hamen mukhtalif nuqsan se bacaye ga balke hamari zindgi ko mukhtalif nematon se bhar de ga. Yahan aap asani se is dua ko English,

Arabic aur Hind parh bhi sakte hain aur apni family ke sath share bhi kar sakte hain.

Baitul Khala Se Mutaliq Ahem Baatein

Dostoo, Aap Ko Baitul Khala Se Mutaliq Yeh Ahem Baatein Janna Hon Gi. Taakay Aindah Jab Bhi Aap Baitul Khala Jayen to Un Par Amal Karen .

  • Jab Bhi Baitul Khala Jayen to Sir Dhaanp Kar Jayen .
  • Baitul Khala Mein Hamesha Jootay Ya Chappal Pehan Kar Jana Chahiye.
  • Yaad Rahay Ke Baitul Khala Mein Pehlay Baayaan Paon Daakhil Hona Chahiye .
  • Hamesha Baitul Khala Ki Dua Parh Kar Andar Jana Chahiye .
  • Jab Bhi Baitul Khala Mein Bathain to Qibla Ki Taraf Mun Nah Karen .
  • Baitul Khala Mein Kabhi Baat Nahi Karni Chahiye .
  • Kharray Ho Kar Kabhi Pishaab Nah Karen.
  • Zair Naaf Ko Hamesha Baen Haath Se Dhuain.
  • Baitul Khala Se Nikaltay Waqt Sab Se Pehlay Dayen Taang Ko Bahar Nikalna Chahiye .
  • Bahar Nikaltay Waqt Baitul Khala Se Niklny Ki Dua Padni Chahiye .
  • Baitul Khala Ke Baad Dono Hathon Ko Achi Terhan Dhona Chahiye .

Related:

Bismillahillazi La Yadurru Dua Benefits And Best Wazifa

Rabbi Inni Lima Anzalta Dua 100 Times – Benefits and Best Wazifa

Hadsat Se Bachne Ki Dua

Leave a Comment