Ispaghol ka naam yaqeenan aap sab ke liye naya nahi hoga bilkhushoos agar aap maida ki kamzoree ka kabhi shikaar rahay ho to bohat mumkin hai ke aap ne ispaghol ka chilka ya is ki bhoosi HSUK istemaal ki ho
What is Ispaghol
Ispaghol farsi ka lafz hai. usay english mein “spogel seeds” kaha jata hai is ki tehniyan bareek hoti hain aur poda taqreeban aik meter ouncha hota he. Hindostan India ke ilawa Pakistan mein Punjab ke medani ilaqon, Sindh aur blochstan mein bhi kaasht kya jata hai
Ispaghol neem gulaabii aur safedi mael chhootey chhootey beej hotay hain jinhein bighone Ya muhn mein kuch der rakhnay se luaab peda hota hai un daano ke oopar se safaid chilka allag kar liya jata hai jisay sabos ispaghol yani Ispaghol ka chilka, bhoosi ya Ispaghol Husk kaha jata hai.
SEE ALSO: Peshab Mein Jhag Aana | Peshab Mein Jalan | Bar Bar Peshab Ana
Gharon mein aam tor yahi bhoosi istemaal ki jati hai yeh bhoosi luaab daar aur pheeki hoti hai aur umooman dukaan se chhootey chhootey pikton ki shakal mein mil jati hai .
Ispaghol chilka ke agarchay bohat ziyada faiday hain bilkhushoos yeh mashriqi tib mein kayi terhan se istemaal kya jata hai lekin is ke 13 ahem faiday Ispaghol Benefits kuch yun hain
Best 13 Ispaghol Benefits
Bukhar
Ispaghol Chilka mizaaj mein sard o tar hota hai is liye is ka luaab bukhaar waghera ki garmi aur pyaas ko door karne mein bohat mo-asar samjha jata hai
Paichish (Diarrhea)
Paichish ke doran 10-gram ispaghol husk aadha pao dahi mein mila kar aik ghantay rakhnay ke baad khayen. aik do roz ke istemaal se paichish theek hojaye ga
SEE ALSO: What Are the Benefits of Aloe Vera for Face Skin and Hair
Qabz
Ispaghol husk anton ki khushki se peda honay walay qabz ki shikayat ko daur karta hai is ke liye 10 gram Chilka ispaghol aik pao name garam doodh ke sath istemaal karen
Khushk Khansi
Chilka ispaghol dammey aur khushk khansi waghera mein bhi bohat kaam ki cheez saabit hota hai. Rozana 10 gram chilka ispaghol doodh ya pani ke sath kam az kam 40 din tak khanay se khansi theek ho sakti hai
Piyaas
Garmiyon ke dinon mein agar bohat ziyada pyaas lagti hai to chilka ispaghol ko pani mein bigho kar aur zara sa shakkar mila kar yeh pani piyen. pyaas jati rahay gi
Khoon Ki Garmi
Chilka ispaghol khoon ke josh ya garmi waghera ko bhi kam karta hai
Seenay Ke Liye
Seenay aur halaq ka khur Durra pan daur karta hai
SEE ALSO: The Benefit of Lemon Juice for Skin and Face | 5 Best Benefits From Lemon Juice
Pait Ka Dard
Baaz auqaat kisi wajah se pait mein maror uthte hain ya aanten zakhmi hojati hain. un halaat mein Chilka ispaghol ki bhoosi dahi mein shaamil kar ke khanay se aaraam milta hai
Joron Ka Dard
Roghan Gul ( Ghulaab ke phoolon ka tail ) aur Chilka ispaghol ke luaab ko sirka mein pees kar laganay se joron ke dard ko aaraam milta hai
Sar Dard
Sir dard ki soorat mein arq ghulaab ko ispaghol ke luaab mein mila kar peshani par laganay se taskeen millti hai
Munh Ke Chaale
Ispaghol ke luaab ke ghararay ya kullie karna munh ke josh aur munh ke chhaalon waghera ko faida pohanchata hai
Bawaseer (Piles)
Ispaghol Bawaseeri (Piles) khoon ko rokta hai
Jalan
Anton ki jalan ko jin mein Bawaseeri khoon ka dabao barha hota hai kam karta hai
Note:
Aakhri baat kisi bhi cheez ka had se ziyada istemaal nuqsaan bhi day sakta he aitdaal ke sath istemaal karen
For more visit our Youtube Channel and Facebook Page