Beta Paida Hone Ki Dua -Aulad Allah ta’la ki bohat bari nemat hai. Jin ke pas olad nahi hai wo duaen karte hain. Aaj ham apko Beta Paida Hone Ki Dua ke bare main bateyn ge. Ye amal surat al kosar ka amal hai. Aur bohat he easy wazifa hai.
Surah Kosar Ki Fazilat
Dosto Quran parhne ki boaht fazilat hai. Issi tarha kosar surah ki bhi bohat fazilat hai. Mashoor ye hai ke surat kosar Makkah main nazil hui. Lekin kuch ne iss ke madni hone ka ehtmal bhi diya hai. Yeh ehtimal bhi diya gyaya hai ke surat kosar 2 bar nazil hui. Aik baar Makkah main aur aik bar Madina main. Lekin jo riwayat iss ke shan e nazool warid hui hain wo iss ke Makki hone ke mashoor qool ki taeed karti hain.
Iss surah ke shan e nazool main aya hai ke. Aas bin Waail ne jo musharkeen ke sardaron main se tha. Nabi Kareem SAW se masjid sr nikalte waqt mulaqat ki aur kuch der tak aap se baten karta raha. Quresh ke sardaron ka aik garoh masjid main betha hua tha. Unhon ne door se iss manzar ka mushada kia. Jis waqt Aas bin Waail masjid main dakhil hua to unhon ne us se kaha ke to kis se baten kar raha tha.? Iss ne kaha iss abtar shakhs se. Iss ne iss tabeer ka iss liye intikhab kia ke Nabi Akram SAW ke farzand “Abdullah” dunyia se rukhsat ho chuke the. Aur arab main aise admi ko jis ka koi beta na ho abtar kaha karte the.
Beta Paida Hone Ki Dua
Aaj ham apko ladka paida hone ki dua ke bare main bateyn ge. Bohat se log aksar ham se beta hone ka wazifa puchte hain. Yeh aulad e narina ka wazifa bohat asan hai. Yeh surah kosar ka aik amal hai.
Beta Paida Hone Ka Wazifa
Wazifa karne ka tariqa kuch iss tarha hai ke aulad e narina ke liye aap ne rozana <strong>surat al kosar</strong> ko <strong>101 baar</strong> parhna hai. Iss amal ko aap ne tab tak karna hai jab tak aap ko khushkhabri nahi mil jati.
READ ALSO: How to Get Normal Delivery Without Pain | Normal Delivery Ka Wazifa
Iss ke ilawa kuch baton ka aap ne khayal rakhna hai. Jab bhi koi wazifa karen pure yakeen se karen. Jab tak aap ka maqsad pura na hajaye tab tak wazifa mat choren.
Umeed hai aapko ye amal pasand aya hoga. Agar aap ko yeh amal pasand aya hai to is ko apne doston ke sath zaroo share karen. Aur mazeed is tarha ki posts parhne ke liye hamari website visit karte rehen.