Shab E Miraj Ki Fazilat aur 27 Rajab Ki Ibadat ka sawab bohat zayada hai Shab e Miraj ki rat Allah Ta’la ne Hazoor Nabi Kareem (PUBH) ko apna dedar karwaya.
Kitabon main ata hai ke Shab E Miraj ka waqiya 27 Rajab ki rat ko paish aya. Aaj ham apko Shab E Miraj Ki Fazilat aur 27 Rajab Ki Ibadat ke bare main batayen gy.
Iss ke sath sath ham apko Shab E Miraj yani 27 rajab ke nawafil ke baray main batayn ge. Taake aap bhi 27 rajab ki ibadat main shamil ho kar apne gunahon se tauba kar saken.
27 Rajab Ki Fazilat
Rajab tauba o istighfar ka maheena hai. Shaban mohabbat ka aur Ramzan taqarub ka maheena hai. Iss mah main tauba bari jald qabool hoti hai. Aur gunahon ke sehra daryae maghfirat ke tez bahao se seraab ho jante hain.
Ibadat guzar anwaar e qabooliyat se faiz pate hain. Rajab ko paak karne wala is liye kehte hain. Ke yeh Rozaydaron ke gunahon aur tamam burayion ko paak o saaf kar deta hai.
Read Also: Wazifa for Love Marriage – Pasand Ki Shadi Ka Wazifa
Shab E Miraj Ki Fazilat
Islam main Shab E Miraj Ki Fazilat bohat zayada hai. Shab e Miraj ki rat Allah Ta’la ne Hazoor Nabi Kareem (PUBH) ko apna dedar karwaya. Shab E Miraj ka waqiya 27 Rajab ki rat ko runuma hua.
27 Rajab Ki Ibadat in Urdu
27 Rajab ki shab ko 12 raka’at Namaz 3 salam se parhain. Pehli 4 Raka’at main Surah FATIHA ke baad Suarah QADAR har rak’at main 3,3 martbah parhain. Slam ke baad 70 martbah baith kar ye parhain” لَآ اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ الْمَلِکُ الْحَقُّ الْمُبِیْنُ “.
Doosri 4 Raka’at main Surah Fatiha ke baad Surah NASAR 3,3 martabah parhein. Har rak’at main slam ke baad baith kar 70 ye parhain”ِنَّکَ قَوِیُّ مُّعِیْنٌ وَّاحِدِیٌّ دَلِیْلٌ بِحَقِّ اِیَّاکَ نَعْبُدُ وَاِیَّاکَ نَسْتَعِیْنُ”.
Teesri 4 Raka’at main Surah FATIHA ke baad Surah IKHLAS 3,3, martabah parhain. Har rak’at main slam ke baad baith kar 70 martabah Surah ALAM-NASHRA parhain.
Ye tmama 27 Rajab Ki Ibadat karne ke baad Allah ke huzoor main dua mangain. Insha Allah jo hajat hogi wo Allah Ta’la qabool farmay ga.
Thank you!!1