27 Rajab ki bohat fazilat hai aaj ham apko 27 Rajab ka wazifa for marriage ke liye. 27 Rajab ki raat ko Shab e Meraj ki raat bhi kaha jata hai. Iss liye iss wazifa Shab e Meraj Ka Wazifa bhi keh sakte hain.
Ye wazifa khas inn hazraat ke liye hai jo abhi tak ghair shadi shuda hain aur un ko acha Rishta nahi mil raha, chahe wo larka hai ya larki .
Ye amal koi bhi insan apne liye kar skata hai. Aise walidain jo apni aulad ke liye pareshan hain. Jin ki shadi nahi ho rahi to waildain bhi inn ke liye kar sakte hain.
27 Rajab Shab e Meraj Ki Fazilat
Qareen karam jaisa ke ham jante hain ke Rajab Islami saal ka satwan maheena hai. Ahl e arab Mah e Rajab ko Allah ka maheena kehte hain.
Related : Shab E Miraj Ki Fazilat 27 Rajab Ki Ibadat
Iss Raat Rasool Allah (PUBH) ko meraj karwai gai. Mah e Rajab main Allah Pak apne bandon par rehmat o maghfirat kartga hai. Mah e Rajab main 5 ratain bohat afzal hain.
- Pehli Shab
- Darmiyani Shab
- Akhri 3 Ratain.
Iss mah main duain qabool hoti hain.
Shab e Meraj Ki Fazilat:
Allah Ta’la Quran Majeed main farta hai.
” Pak hai wo zaat jo apne khas bandy ko raton raat le gai Masjid e Haram se Masjid e Aqsa tak, Jis ke ird gird ham ne barkat rakhi ke ham isse apni azeem nishaniyan dikhain beshak wo sunta aur dekhta hai.”
Imam Muslim ne Hazrat Ans R.A se rowayat ki hai ke. Mere paas aik buraq laya gaya jo sufaid rang ka tha wo Nabi Kareem SAW farmate hain:
Itna tez raftar tha ke jitni door insani nazar pahrti hai utni door iss ka aik qadam parta tha.
27 Rajab ka Wazifa For Marriage
Jaisa ke bataya hai ke ye wazifa Shab e Meraj ko koi bhi kar sakta hai. Larka ya larki apne liye karna chahain to bhi kar sakte hain. Ya walidain apni aulad ke liye karna chahain to wo bhi karskte hain.
Iss ke ilawa agar aap apni pasand ki shadi karna chahte hain. phir bhi ye wazifa aap kar sakte hain.
Wazifa Karne Ka Tariqa:
27 Rajab ki raat yani shab e meraj ki raat Isha ke baad 2 rak’at namaz e nafil ada karain. Har rak’at main surah Fatiha ke baad aap ne 21 martabh Surah Ikhlas parhni hai.
Related: Wazifa for Love Marriage – Pasand Ki Shadi Ka Wazifa
Salam phairne ke baad aap ne 11 bar darood shareef (koi sa bhi) parhna hai. Iss ke 500 bar Ayat Kareem parhna hai aur phir aap ne 11 bar darood parhna hai.
Iss ke baad Allah ta’la ki bargah main apna maqsad bayan karna hai. Beshak Allah ta’al dilon ke haal janta hai phir bhi aap ne apna maqsad bayan karna hai.